ham ne ashkoñ se tirā naam likhā paanī par
yuuñ jalāyā hai sar-e-shām diyā paanī par
bhīgī palkoñ pe ubharte ga.e yādoñ ke nuqūsh
dekhte dekhte ik shahr basā paanī par
mausam-e-nau kī ḳhabar ḳhushk zamīnoñ ke liye
tairtā aatā hai pattā jo harā paanī par
munhasir chaar anāsir pe hai insāñ kā vajūd
naqsh miTTī kā banā aag havā paanī par
kisī zardār ke aage na pasārā dāman
ek ḳhuddār ka.ī roz jiyā paanī par
kaun guzrā hai ulajhtā huā maujoñ se 'shabīn'
duur tak kis ke haiñ naqsh-e-kaf-e-pā paanī par