ab ke mausam meñ koī ḳhvāb sajāyā hī nahīñ
zard pattoñ ko havāoñ ne girāyā hī nahīñ
dekh kar jis ko Thahar jaa.eñ musāfir ke qadam
aisā manzar to koī raah meñ aayā hī nahīñ
kyuuñ tire vāste is dil meñ jagah hai varna
koī chehra mirī āñkhoñ meñ samāyā hī nahīñ
us ne bhī maañg liyā aaj mohabbat kā subūt
ek lamhe ke liye jis ko bhulāyā hī nahīñ
mujh ko tanhā.ī ne gherā hai ka.ī baar magar
us kī yādoñ ne magar saath nibhāyā hī nahīñ
jis kī ḳhushbū se mahakte mire ghar ke dar-o-bām
vaqt ne rañg koī aisā dikhāyā hī nahīñ
raushnī apne muqaddar kahāñ hogī 'shabīn'
jab diyā ham ne añdheroñ meñ jalāyā hī nahīñ