gharoñ meñ yuuñ ujālā ho gayā hai
har ik zarra sharārā ho gayā hai
nahīñ suntā koī shor-e-qayāmat
zamāna kitnā bahrā ho gayā hai
qasīde kī na.ī tārīf likkho
ta.āruf ab qasīda ho gayā hai
bahut ūñchī huī dīvār dil kī
ajab us ghar kā naqsha ho gayā hai
shabeñ gar sach kaho to jaan jaao
ki kyuuñ dil aaj tanhā ho gayā hai