yahāñ ke log haiñ bas apne hī ḳhayāl meñ gum
koī uruuj meñ gum hai koī zavāl meñ gum
nisāb-e-ishq meñ hijr-o-visāl ek se haiñ
hai mere hijr kā rishta tire visāl meñ gum
ye ik nazāra alag hai sabhī nazāroñ se
mirī nazar kā tasalsul tire jamāl meñ gum
ye nāzukī mire sheroñ kī be-sabab to nahīñ
ki merī fikr-e-suḳhan hai isī ġhazāl meñ gum
tumheñ ho kaise ḳhabar ḳhud mujhe nahīñ mālūm
maiñ kis javāb meñ gum huuñ maiñ kis savāl meñ gum
bachā hai kaun yahāñ vaqt ke thapeḌoñ se
hai merī umr-e-gurezāñ bhī māh-o-sāl meñ gum
ye shahr-e-ḳhud-nigarāñ hai nikal chalo 'tāriq'
har ek shaḳhs hai apne hī ḳhadd-o-ḳhāl meñ gum