ghar meñ baiThūñ to shanāsā.ī burā māntī hai
bāhar aa jā.ūñ to tanhā.ī burā māntī hai
merī nādānī dikhātī hai karishme jab bhī
sāhab-e-vaqt kī dānā.ī burā māntī hai
māh-o-anjum kī savārī pe nikaltā huuñ jab
dasht-e-aflāk kī pahnā.ī burā māntī hai
bahr kī tah meñ utartā huuñ ḳhazānoñ ke liye
ye alag baat ki gahrā.ī burā māntī hai
jab mire zaḳhm mahakte haiñ to 'tāriq'-sāhab
ibn-e-daurāñ kī masīhā.ī burā māntī hai