Tariq Matin

apne dukhon ka humne tamasha nahin kiya

Tariq Matin

Lakhminia, Bihar, India

1968
apne dukhoñ kā ham ne tamāsha nahīñ kiyā
faaqe kiye magar kabhī shikva nahīñ kiyā
be-ghar hue tabāh hue dar-ba-dar hue
lekin tumhāre naam ko rusvā nahīñ kiyā
go ham charāġh-e-vaqt ko raushan na kar sake
par apnī zaat se to añdherā nahīñ kiyā
is par bhī ham luTāte rahe daulat-e-yaqīñ
ik pal bhī jis ne ham pe bharosa nahīñ kiyā
us shaḳhs ke liye bhī duā go rahe haiñ ham
jis ne hamāre haq meñ kuchh achchhā nahīñ kiyā
hālāñki ehtirām sabhī kā kiyā magar
ham ne kisī ko qibla-o-ka.aba nahīñ kiyā
'tāriq-matīn' khāte rahe umr-bhar fareb
lekin kisī ke saath bhī dhokā nahīñ kiyā
Top Urdushayar.com