nigahbān-e-chaman ab dhuup aur paanī se kyā hogā
muqaddar meñ hai tārājī nigahbānī se kyā hogā
masāfat hijr kī ye soch kar tai kar rahe haiñ ham
agar mushkil nahīñ hogī to āsānī se kyā hogā
dil-e-nādāñ ne saare ma.arke sar kar liye āḳhir
ye nādānī thī ham samjhe the nādānī se kyā hogā
na kuchh ho kar bhī apnī zaat meñ ik anjuman haiñ ham
atiyya hai ye darveshī kā sultānī se kyā hogā
salīqa chāhiye kār-e-junūñ kā ai junūñ vaalo
tavāf-e-dasht se aur chāk-dāmānī se kyā hogā
bahut dushvār hai fikr-e-ġhazal meñ taaq ho jaanā
hunar-mandī zarūrī hai hama-dānī se kyā hogā
ḳhudā kī ḳhaas ne.amat hai sukūn-e-jān-o-dil 'tāriq'
pareshānī meñ daulat kī farāvānī se kyā hogā