Tariq Matin

main habib hun kisi aur ka meri jaan-e-jaan koi aur hai

Tariq Matin

Lakhminia, Bihar, India

1968
maiñ habīb huuñ kisī aur kā mirī jān-e-jāñ koī aur hai
sar-e-dāstāñ koī aur hai pas-e-dāstāñ koī aur hai
ye azāb-e-dar-ba-darī miyāñ hai azal se merā rafīq-e-jāñ
maiñ makīn huuñ kahīñ aur kā mirā ḳhāk-dāñ koī aur hai
ye to apnā apnā nasīb hai kise kitnī quvvat-e-par milī
tirā āsmāñ koī aur hai mirā āsmāñ koī aur hai
ye jo zindagī kī haiñ gutthiyāñ ye sulajh ke bhī na sulajh sakīñ
haiñ agarche vaj.h-e-sukūn ham yahāñ shādmāñ koī aur hai
mujhe shā.irī kā hunar milā mujhe ganj-e-la.al-o-guhar milā
mire harf meñ mire lafz meñ jo hai be-karāñ koī aur hai
Top Urdushayar.com