Tariq Matin

gham ki diwar ko main zer-o-zabar kar na saka

Tariq Matin

Lakhminia, Bihar, India

1968
ġham kī dīvār ko maiñ zer-o-zabar kar na sakā
ik yahī ma.arka aisā thā jo sar kar na sakā
dil vo āzād parinda hai ki jis ko maiñ ne
qaid karnā to bahut chāhā magar kar na sakā
duur itnī bhī na thī manzil-e-maqsūd magar
yuuñ paḌe paañv meñ chhāle ki safar kar na sakā
zindagī merī kaTī ek sazā ke mānind
chain se duniyā meñ pal-bhar bhī basar kar na sakā
āsmāñ par vo gayā qalb-e-zamīñ meñ utrā
kaun sā kaam hai aisā jo bashar kar na sakā
baat jaisī bhī ho tāsīr hai shart-e-lāzim
sher vo kyā jo kisī dil meñ bhī ghar kar na sakā
Top Urdushayar.com