dard-o-ġham rañj-o-alam āh-o-fuġhāñ
sarguzasht-e-ishq kī haiñ surḳhiyāñ
dil hai merā mā.il-e-fariyād aaj
dekh kar un ke taġhāful kā samāñ
ik zarā ruk jā.iye sun lījiye
is dil-e-ranjūr kī bhī dāstāñ
aap ne to ik nazar dekhā faqat
jal gayā tāb-o-tavāñ kā āshiyāñ
ai dil-e-ġham-ghīñ na ro is daur meñ
kaun suntā hai kisī kī dāstāñ
ātish-e-ulfat to kab kī jal bujhī
raat din siine se uThtā hai dhuāñ
nazm-e-mai-ḳhāna badal kar rakh deñ ham
aao ai zinda-dilāñ 'tishna'-labāñ