Yogendra Bahal Tishna

teri aankhon se mili jumbish meri tahrir ko

Yogendra Bahal Tishna

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1928
terī āñkhoñ se milī jumbish mirī tahrīr ko
kar diyā maiñ ne mukammal ḳhvāb kī ta.abīr ko
jab mohabbat kī kahānī lab pe aatī hai kabhī
vo burā kahte haiñ mujh ko aur maiñ taqdīr ko
uf re ye shor-e-salāsil niiñd sab kī uḌ ga.ī
do rihā.ī aa ke tum pā-basta-e-zanjīr ko
ye araq-ālūda peshānī ye ranj-o-iztirāb
dekh jā aa kar shikast-e-ishq kī tasvīr ko
zindagī yuuñ un ke qadmoñ par nichhāvar maiñ ne kī
jaise parvāna jalā de nuur par taqdīr ko
ai mire ma.asūm qātil itnī mohlat de mujhe
chuum luuñ āñkhoñ se apnī barahna shamshīr ko
jis ne chāhat ke tajassus meñ gañvā dī zindagī
vo kahāñ toḌegā 'tishna' zulm kī zanjīr ko
Top Urdushayar.com