aatī hai fuġhāñ lab pe mire qalb-o-jigar se
khul jaa.e na ye bhed kahīñ terī nazar se
rakkhā hai tire ġham ko hamesha tar-o-tāza
Tapkā lahū āñkhoñ se kabhī zaḳhm-e-jigar se
le chhoḌ diyā shahr tirā kahne pe tere
ab ho ga.e ham duur bahut tere nagar se
duniyā pe huā raaz mohabbat kā yuuñ ifshā
taḌpāyā bahut tū ne uThāyā hameñ dar se
mansūb haiñ tujh se jo mohabbat ke fasāne
vaqt aayā to likkheñge kabhī ḳhūn-e-jigar se
siine meñ kahīñ ruktā hai sailāb-e-junūñ-ḳhez
dil ḳhuun huā merā mohabbat ke asar se
sailāb-e-havādis bhī huā sharm se paanī
āñkhoñ se mirī ashk kuchh is shaan se barse