Ahmad Ziya

wo KHwab sa paikar hai gul-e-tar ki tarah hai

Ahmad Ziya

vo ḳhvāb sā paikar hai gul-e-tar kī tarah hai
ā.ankhoñ meñ ga.ī shaam ke manzar kī tarah hai
ehsās dilātī hai ye phailī huī ḳhushbū
us ghar kī mohabbat bhī mire ghar kī tarah hai
maiñ ā.īna jaisā huuñ koī toḌ na Daale
har shaḳhs mirī raah meñ patthar kī tarah hai
ik maiñ huuñ ki lahroñ kī tarah chain nahīñ hai
ik vo hai ki ḳhāmosh samundar kī tarah hai
vo jis ne 'ziyā' harf bhī dil meñ na utārā
vo aaj sar-e-bazm suḳhan-var kī tarah hai
Top Urdushayar.com