pyaar kiyā thā tum se maiñ ne ab ehsān jatānā kyā
ḳhvāb huiiñ vo pyaar kī bāteñ bātoñ ko dohrānā kyā
rāh-e-vafā hai ham-safro pur-azm raho haañ tez chalo
chaar qadam pe manzil hai ab raah se vāpas jaanā kyā
sañg-zanī o ta.ana-zanī is daur kā sheva hai yaaro
apne dil meñ khoT nahīñ jab duniyā se ghabrānā kyā
mai-ḳhāne meñ daur chale maiñ ik ik buuñd ko tarsā huuñ
saaqī bhī hai merī nazar meñ shīsha kyā paimāna kyā
mere dil ko toḌ ke āḳhir kyā khoyā kyā paayā hai
shahr-e-sanam meñ rahne vaalo shīshe se Takrānā kyā
bastī bastī parbat parbat vahshat kī hai dhuup 'ziyā'
chāroñ jānib vīrānī hai dil kā ik vīrāna kyā