har qadam par mere armānoñ kā ḳhuuñ
zindagī terā kahāñ tak saath duuñ
āñdhiyoñ kī zad meñ hai merā vajūd
aur maiñ dīvār kī tasvīr huuñ
kaun ho tum aur kahāñ se aa.e ho
sochtā huuñ apne saa.e se kahūñ
rañg kī duniyā se maiñ uktā gayā
phūl-rut meñ zahr pī kar so rahūñ
chāhtā huuñ tum ko ḳhushbū kī tarah
ab ki maiñ āvāz hī āvāz huuñ
ab koī merā nahīñ mere sivā
aaj apne-āp dil ko toḌ luuñ
maiñ ki paiġhambar nahīñ 'ahmad-ziyā'
kaun sā paiġhām is duniyā ko duuñ