fikr ke saare dhāge TuuTe zehn bhī ab ma.azūr huā
ab ke bahār ye kaisī aa.ī kaisā ye dastūr huā
kal-purzoñ kā rūh-e-ravāñ ye aur vo sarmā.e kī joñk
lekin us kī nazroñ meñ ye dhartī kā nāsūr huā
din kī safedī terī nazar meñ raat kī kaalī chādar hai
raat kā ḳhūnī añdhiyārā bhī terī nazar meñ nuur huā
jab se dekhā hai khetoñ meñ maiñ ne zālim dhuup kā ruup
tab se terī zulf kā saaya duur bahut hī duur huā
zulm ko us ne zulm kahā hai jabr ko us ne jabr kahā
ya.anī 'ziyā' ab 'ziyā' nahīñ hai vaqt kā vo mansūr huā