vaqt achchhā jo mirā thā pahle
har nazar ko maiñ bhalā thā pahle
ab kahīñ jā ke fasāna samjhā
us ke muñh se na sunā thā pahle
sirf ham hī na hue the pāgal
kuchh to us ko bhī huā thā pahle
hai zamīñ-bos imārat itnī
is kā siina bhī tanā thā pahle
zindagī khā ke thapeḌe bigḌī
maiñ to itnā na burā thā pahle
ba.ad meñ dil se ga.ī shīrīnī
zahr duniyā ne bharā thā pahle
dhuul jab tak na haTī āñkhoñ se
saaf 'tālib' na dikhā thā pahle