hamārī pyaas ko itnā jagāyā hai muqaddar ne
ki ik qatre ko bhī dariyā banāyā hai muqaddar ne
kabhī tūfāñ se Takrā.e kabhī maujoñ se laḌ baiThe
hameñ hālāt se laḌnā sikhāyā hai muqaddar ne
hamārī chāhatoñ kī shab bhī guzrī vaqt se pahle
hameñ ik ḳhvāb aisā bhī dikhāyā hai muqaddar ne
na koī aarzū hai ab na koī justujū mujh ko
mujhe kyuuñ zindagī se ab milāyā hai muqaddar ne
jahāñ manzil to hāsil hai magar apnā nahīñ koī
mujhe kyuuñ aise rastoñ par chalāyā hai muqaddar ne
rulāyā hai satāyā hai jalāyā hai ki ai 'tālib'
sitam kā har tarīqa āzmāyā hai muqaddar ne