mizāj-e-ġham samajhtā kyuuñ nahīñ hai
mirā idrāk mujh sā kyuuñ nahīñ hai
garajtā hai barastā kyuuñ nahīñ hai
yahāñ bādal bhī sachchā kyuuñ nahīñ hai
kahāñ tak ā.inoñ ko ham badalte
hamārā kuchh bhī achchhā kyuuñ nahīñ hai
nahīñ suntā kharī ik baat koī
kharā sikka bhī chaltā kyuuñ nahīñ hai
safar jaarī hai aur maiñ kis se pūchhūñ
koī rasta bhī sīdhā kyuuñ nahīñ hai
ta.ajjub hai yahāñ us shahr meñ ab
kisī kāñdhe pe chehrā kyuuñ nahīñ hai
vo sāgar hai agar tū kyuuñ hai pyāsā
vo gāgar hai to bhartā kyuuñ nahīñ hai
bahut ashjār haiñ in rāstoñ meñ
mire sar phir bhī saayā kyuuñ nahīñ hai
burīda-par nahīñ koī qafas meñ
parinda phir bhī uḌtā kyuuñ nahīñ hai
agarche dāstāñ merī hai phir bhī
koī kirdār mujh sā kyuuñ nahīñ hai
bahā detā hai kyuuñ aañsū meñ 'tālib'
ġhazal ke sher kahtā kyuuñ nahīñ hai