mirī Dagar se bhī ik din guzar ke dekh zarā
ai āsmān zamīñ par utar ke dekh zarā
dhaḌakne lagte haiñ dīvār-o-dar bhī dil kī tarah
ki sañg-o-ḳhisht meñ kuchh saañs bhar ke dekh zarā
har ek aib hunar meñ badal bhī saktā hai
hisāb apne gunāhoñ kā kar ke dekh zarā
tū chup rahegā tire hāth-pāoñ boleñge
yaqīñ na aa.e to ik roz mar ke dekh zarā
uThe jidhar bhī nazar raushnī udhar jaa.e
karishme kaise haiñ us kī nazar ke dekh zarā
masīhā ho ke bhī hotā nahīñ masīhā koī
tū zaḳhm zaḳhm kisī din bikhar ke dekh zarā
ḳhamoshiyoñ ko bhī 'tālib' zabān hai ki nahīñ
sukūt-e-dariyā ke andar utar ke dekh zarā