Murlidhar Sharma Talib

jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae

Murlidhar Sharma Talib

Mandi Aadampur, Haryana, India

1977
jo sahrā hai use kaise samundar likh diyā jaa.e
ġhazal meñ kis tarah rahzan ko rahbar likh diyā jaa.e
qalam ke dosh par ho imtihāñ kā bojh jis had tak
magar haq to ye hai patthar ko patthar likh diyā jaa.e
kisī in.aam kī ḳhātir na hogā ham se ye hargiz
ki ik shāhīn ko jañgalī kabūtar likh diyā jaa.e
sitam kī dāstāñ kis raushnā.ī se raqam hogī
lahū kī dhaar se daftar kā daftar likh diyā jaa.e
kisānoñ ko mayassar jab nahīñ do vaqt kī roTī
to aise khet ko be-sūd-o-banjar likh diyā jaa.e
hamārī tishnagī se bhī koī masrūr hotā hai
hamārī pyaas ko labrez sāġhar likh diyā jaa.e
qalam ko maiñ ne bhī talvār āḳhir kar liyā 'tālib'
mirī nok-e-qalam ko nok-e-ḳhanjar likh diyā jaa.e
Top Urdushayar.com