kise ab dāstāñ apnī sunā.eñ
muqābil aa.ine ke baiTh jaa.eñ
jo aatā hai guzar jaatā hai phir bhī
zamīn-e-dil kī ḳhaak ab kyuuñ uḌā.eñ
hazāroñ log tishna-lab yahāñ haiñ
vuzū kaise kareñ kaise nahā.eñ
añdherā hī añdherā har taraf hai
charāġh-e-dil kahāñ tak ham jalā.eñ
usī ik baat kā charchā bahut hai
jise ham ne to chāhā thā chhupā.eñ
chaman kā gosha gosha jal rahā hai
kisī chhoḌeñ yahāñ kis ko bachā.eñ
zamīñ kā ek TukḌā hai jahāñ par
adab ke saath chaltī hai havā.eñ
musalsal zaḳhm kā parda kahāñ tak
kahāñ tak tiir khā kar muskurā.eñ
nazar kī sham.a raushan kar rahā huuñ
na jaane kab sitāre Duub jaa.eñ
abhī itnī mohabbat bhī bahut hai
ga.e vo din ki tum ko āzmā.eñ
bichhaunā bhī nahīñ hai aaj 'tālib'
taḌap ġham niiñd aañsū kyā bichhā.eñ