Murlidhar Sharma Talib

Dub kar is ka bhanwar kholenge

Murlidhar Sharma Talib

Mandi Aadampur, Haryana, India

1977
Duub kar is kā bhañvar kholeñge
bahr-e-hastī ke guhar kholeñge
pā-ba-jaulāñ nahīñ hotī himmat
aabjū apnī Dagar kholeñge
laakh dīvāreñ uThīñ zindāñ meñ
ham darīcha to magar kholeñge
raushnī chaar taraf phailegī
aaj vo aañkh jidhar kholeñge
sab sitāre khaḌe haiñ saf bāñdhe
aaj lagtā hai vo dar kholeñge
un farishtoñ ko mileñge ash.ār
jab vo sāmān-e-safar kholeñge
aaj vo tiir liye baiThe haiñ
ham bhī hargiz na sipar kholeñge
sher 'tālib' ke suneñge jab bhī
uqda-e-arz-e-hunar kholeñge
Top Urdushayar.com