Imam Bakhsh Nasikh

hain ashk meri aankhon mein qulzum se ziyaada

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
haiñ ashk mirī āñkhoñ meñ qulzum se ziyāda
haiñ daaġh mire siine meñ anjum se ziyāda
sau ramz kī kartā hai ishāre meñ vo bāteñ
hai lutf ḳhamoshī meñ takallum se ziyāda
juz sabr dilā chāra nahīñ ishq-e-butāñ meñ
karte haiñ ye zulm aur tazallum se ziyāda
mai-ḳhāne meñ sau martaba maiñ mar ke jiyā huuñ
hai qulqul-e-mīnā mujhe qum-qum se ziyāda
sau raqs se afzūñ hai parī-rū tirī raftār
paañv kī sadā laakh tarannum se ziyāda
taklīf-e-takalluf se kiyā ishq ne āzād
mū-e-sar-e-shorīda haiñ qāqum se ziyāda
māshūqoñ se ummīd-e-vafā rakhte ho 'nāsiḳh'
nādāñ koī duniyā meñ nahīñ tum se ziyāda
Top Urdushayar.com