ye jism zaar hai yuuñ pairahan ke parde meñ
ki jaise ruuh nihāñ hai badan ke parde meñ
sivā.e ahl-e-suḳhan ho mushāhida kis ko
nihāñ hai shāhid-e-ma.anī suḳhan ke parde meñ
talāsh jis kī hai din-rāt tujh ko ai ġhāfil
chhupā huā hai vo tere hī tan ke parde meñ
jo andalīb kī āñkhoñ se dekhe vo samjhe
zuhūr hai usī gul kā chaman ke parde meñ
shab-e-siyāh judā.ī meñ raushnī ho kahīñ
lagā.ūñ aag maiñ bait-ul-huzan ke parde meñ
tarīq-e-ishq chhuḌāyā hai tū ne ġhārat-gar
milā hai ḳhizr mujhe rāhzan ke parde meñ
latāfat aisī hai tujh meñ ki dekhtā huuñ saaf
guhar se daañt haiñ durj-e-dahan ke parde meñ
ba-rañg-e-zar koī kapḌoñ meñ aag rahtī hai
na mere daaġh chhupeñge kafan ke parde meñ
naqāb se tire abrū jo salḳh ko khul jaa.eñ
tū māh-e-nūr hai charḳh-e-kuhan ke parde meñ
agar tum aa.e the shīrīñ ke bhes meñ sāhab
to saath banda bhī thā kohkan ke parde meñ
numūd ho na tire ḳhatt-e-ambar-e-afshāñ kī
rahe vo jild ezār-o-zaqan ke parde meñ
chaman meñ laa.ī sabā kis kī bū jo aaj shamīm
damak rahī hai gul-e-yāsman ke parde meñ
nazar se thā sharar-e-sañg kī tarah jo nihāñ
vo but milā mujhe ik but-shikan ke parde meñ
tumhāre rū-e-muḳhattat kā muñh chiḌhāte haiñ
ye mehr-o-māh parī-rū gahan ke parde meñ
hazāroñ paḌ ga.e tīr-e-nigāh se sūrāḳh
hamāre is but-e-nāvak-fagan ke parde meñ
ḳhabar na shām-e-ġharībī kī mujh ko thī 'nāsiḳh'
chhupī huī thī ye sub.h-e-vatan ke parde meñ