mirā siina hai mashriq āftāb-e-dāġh-e-hijrāñ kā
tulū-e-sub.h-e-mahshar chaak hai mere garebāñ kā
azal se dushmanī tā.ūs o maar aapas meñ rakhte haiñ
dil-e-pur-dāġh ko kyūñkar hai ishq us zulf-e-pechāñ kā
kisī ḳhurshīd-rū ko jazb-e-dil ne aaj khīñchā hai
ki nūr-e-sub.h-e-sādiq hai ġhubār apne bayābāñ kā
chamaknā barq kā lāzim paḌā hai abr-e-bārāñ meñ
tasavvur chāhiye rone meñ us ke rū-e-ḳhandāñ kā
diyā mere janāze ko jo kāñdhā us parī-rū ne
gumāñ hai taḳhta-e-tābūt par taḳht-e-sulaimāñ kā
kisī se dil na is vahshat-sarā meñ maiñ ne aTkāyā
na uljhā ḳhaar se dāman kabhī mere bayābāñ kā
tah-e-shamshīr-e-qātil kis qadar bashshāsh thā 'nāsiḳh'
ki aalam har dahān-e-zaḳhm par hai rū-e-ḳhandāñ kā