hai tasavvur mujhe har dam tirī yaktā.ī kā
mashġhala aaTh pahar hai yahī tanhā.ī kā
ishq meñ rashk hamesha se chalā aatā hai
dekho qābīl ne kyā haal kiyā bhaa.ī kā
jām-e-sā.il kī tarah haiñ mirī āñkheñ dar dar
jab se āshiq kisī kāfir-e-shaidā.ī kā
ishq-e-kāmil jo huā nañg kahāñ aar kahāñ
dhyān badmast ko rahtā nahīñ rusvā.ī kā
hijr meñ gardish-e-behūda jo hai ai saaqī
jaam kyā kāsa-e-sar hai kisī saudā.ī kā
merī āñkhoñ ne tujhe dekh ke vo kuchh dekhā
ki zabān-e-mizha par shikva hai bīnā.ī kā
qadam aġhyār kā rakhnā ho gavārā kyuuñ kar
tere dar par hai mujhe shaġhl jabīñ-sā.ī kā
mujh se rahtā hai ramīda vo ġhazāl-e-shahrī
saaf sīkhā hai chalan āhū-e-sahrā.ī kā
hijr meñ chaTke jo ġhunche huī āvāz tufañg
sehn-e-gulzār hai maidān-e-saf-ārā.ī kā
jis ne dekhā tujhe ai yaar huā dīvāna
hai tamāshā tire har ek tamāshā.ī kā
sabza rañgoñ kā ye hai ḳhaak muqarrar 'nāsiḳh'
sabz rañg is liye aatā hai nazar kaa.ī kā