ab kī holī meñ rahā be-kār rañg
aur hī laayā firāq-e-yār rañg
suraḳh-rū kar de sharāb aa.ī bahār
hai ḳhizāñ se zard ai ḳhummār rañg
hoñT uude sabz ḳhat āñkheñ siyāh
chehre kā surK-o-safed ai yaar rañg
ham ko saare gulshan-e-āfāq meñ
bas pasand aa.e yahī do-chār rañg
ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
kis kī holī jashn-e-nau-rozī hai aaj
surḳh mai se sāqiyā dastār rañg
hijr-e-jānāñ meñ Thahartā hī nahīñ
kyā hī mere muñh se hai bezār rañg
kyā hai girgiT āsmāñ ke sāmne
badle ik ik dam meñ sau sau baar rañg
aatī hai o qais lailā dasht meñ
ḳhūn-e-pā se jild ab pur-ḳhār rañg
dhuup hai par mere roz-e-hijr kā
hai ba-rañg-e-sāya-e-dīvār rañg
ho gayā kyuuñ zard 'nāsiḳh' kyā kahūñ
hai zamāne kā ajab ai yaar rañg