Imam Bakhsh Nasikh

maza visal ka kya gar firaq-e-yar na ho

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
maza visāl kā kyā gar firāq-e-yār na ho
nahīñ hai nashe kī kuchh qadr agar ḳhumār na ho
na ro.e tā koī āshiq ye hukm hai us kā
ki sham.a bhī mirī mahfil meñ ashk-bār na ho
jo hichkī aa.ī to ḳhush maiñ huā ki maut aa.ī
kisī ko yaar kā itnā bhī intizār na ho
zaqan hai seb to unnāb hai lab-e-shīrīñ
nahīñ hai sarv vo ḳhush-qad jo meva-dār na ho
vo huuñ maiñ morid-e-nafrat ki darkinār hai yaar
pa.e fishār kabhī gor ham-kanār na ho
na aa.e kunj-e-lahad meñ bhī mujh ko ḳhvāb-e-adam
agar sirhāne koī ḳhisht-e-kū-e-yār na ho
ba-rañg-e-husn-e-butāñ hai dil-e-shagufta mirā
jo is chaman meñ ḳhizāñ ho to phir bahār na ho
ga.ī hai kaisī zamāne se rasm-e-sar-garmī
ajab nahīñ hai jo patthar meñ bhī sharār na ho
na hañsne se kabhī hamrāz posh vāqif hoñ
ba-rañg-e-ġhuncha jigar jab talak figār na ho
tirī mizha kī jo tashbīh us se tark kareñ
kisī ke tiir se koī kabhī figār na ho
dam-e-aḳhīr to kar leñ nazāra jī bhar ke
ilāhī ḳhanjar-e-saffāk āb-dār na ho
yahī hai qulzum-e-ġham meñ mirī duā yārab
qayām is meñ koī bhī habāb-dār na ho
vo sub.h sīna-e-sad-chāk meñ hai dāġh-e-junūñ
ki jis se dīda-e-ḳhurshed bhī do-chār na ho
havas uruuj kī le jaa.eñ gar ye duniyā se
kabhī buland havā se koī ġhubār na ho
kamāl-e-sūrat-e-be-dard se tanaffur hai
na dekheñ ham kabhī us gul ko jis meñ ḳhaar na ho
hazāroñ gor kī rāteñ haiñ kāTnī 'nāsiḳh'
abhī to roz-e-siyah meñ tū be-qarār na ho
Top Urdushayar.com