hamārī kaif sazā-vār-e-ehtisāb nahīñ
ḳhayāl-e-chashm hai kuchh sāġhar-e-sharāb nahīñ
vo be-naqāb huā hai to ye tamāshā hai
do-chār hone kī āñkhoñ meñ apnī taab nahīñ
ye mujh ko us ke taġhāful se hai yaqīn ki haa.e
javāb-nāme so ai naame kā javāb nahīñ
samā rahā hai yahāñ tak parī-ruḳhoñ kā jamāl
hamārī āñkhoñ meñ ḳhālī maqām-e-ḳhvāb nahīñ
butoñ ke parde meñ ham dekhte haiñ nūr-e-ḳhudā
ḳhudā ke dekhne kī ai kalīm taab nahīñ
vufūr-e-ashk se kyoñ hai gale talak paanī
hamārā kāsa-e-sar kāsa-e-habāb nahīñ
maiñ bazm-e-shāhid-o-sāqī meñ kyoñ na vajd karūñ
barā-e-zohd-o-vara.a ālam-e-shabāb nahīñ
kiyā hai daaġh ne kyoñ us ko manzil-e-ḳhurshīd
hamārā dil hai ye kuchh burj-e-āftāb nahīñ
huā hai mān-e-dīdār-e-yār parda-e-chashm
khulī jo aañkh to kuchh darmiyāñ hijāb nahīñ
ye zabt-e-girya meñ aalam hai be-qarārī kā
ki barq kauñdtī hai bārish-e-sahāb nahīñ
bashar ke jism meñ hai jaan māya-e-ġhaflat
so ai dīda-e-tasvīr kis ko ḳhvāb nahīñ
dilā hai mausam-e-pīrī mahal jām-e-sharāb
baġhair sub.h koī vaqt-e-āftāb nahīñ
maiñ ġhash se us ke chhiḌakte hī hoshiyār huā
kisī sanam kā pasīna hai ye gulāb nahīñ
bahut fareb se ham vahshiyoñ ko vahshat hai
hamāre dasht meñ 'nāsiḳh' kahīñ sarāb nahīñ