Imam Bakhsh Nasikh

qamat-e-yar ko hum yaad kiya karte hain

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
qāmat-e-yār ko ham yaad kiyā karte haiñ
sarv ko sadqe meñ āzād kiyā karte haiñ
zulf-e-shab-rañg ko ham yaad kiyā karte haiñ
shab-e-tārīk meñ fariyād kiyā karte haiñ
nigah-e-yār ko ham yaad kiyā karte haiñ
dekh kar barq ko fariyād kiyā karte haiñ
kūcha-e-yār ko ham yaad kiyā karte haiñ
jā ke gulzār meñ fariyād kiyā karte haiñ
ghar jo be-yār hai vīrāñ to tasavvur meñ mudām
ḳhāna-e-dil ko ham ābād kiyā karte haiñ
rashk se naam nahīñ lete ki sun le na koī
dil hī dil meñ use ham yaad kiyā karte haiñ
guzre haiñ kūcha-e-kākul se sabā ke jhoñke
nik.hat-e-gul ko jo barbād kiyā karte haiñ
hote haiñ jaate hī maktab meñ parī-rū ḳhūñ-rez
kyā ye jallādoñ ko ustād kiyā karte haiñ
phūñk deñ nāla-e-sozāñ se agar chāheñ qafas
ham faqat ḳhātir-e-sayyād kiyā karte haiñ
hotī hai āfat-e-ḳhat qahr-e-ḳhudā se nāzil
ye sanam ham pe jo bedād kiyā karte haiñ
malak-ul-maut agar kahiye unheñ to hai bajā
qatl be-teġh parī-zād kiyā karte haiñ
tū vo sayyād hai jo vaar ke tujh par lākhoñ
tā.er-e-rūh ko āzād kiyā karte haiñ
intiqām is kā kahīñ le na falak Dartā huuñ
jhūTe va.adoñ se jo vo shaad kiyā karte haiñ
terā dīvān hai kyā sāmne un ke 'nāsiḳh'
jo ki qur.ān pe īrād kiyā karte haiñ
Top Urdushayar.com