haa.e laayā na koī qāsid-e-dilbar kāġhaz
ho gayā ġham se hamārā tan-e-lāġhar kāġhaz
nāma-e-yār ke likhne ko mujhe arzāñ hai
tol de gar koī sone ke barābar kāġhaz
yuuñ lifāfe meñ hamārā hai kalām-e-shīrīñ
jis tarah bāñdhte haiñ qand ke uupar kāġhaz
nā-tavānī se nahīñ hai mujhe mumkin harakat
maiñ huuñ harfoñ kī tarah merā hai bistar kāġhaz
haal likkhā hai jo maiñ ne badan-e-lāġhar kā
le uḌā tinke kī mānind kabūtar kāġhaz
maiñ ne likhā hai jo apnā ye musībat-nāma
mohr karne ko karūñ ashk se ab tar kāġhaz
mere naame ko agar dast-e-hinā.ī meñ vo le
varaq-e-gul se bhī ho rañg meñ behtar kāġhaz
hāl-e-soz-e-ġham-e-furqat karūñ tahrīr to ho
kabk kī choñch qalam baal samundar kāġhaz
is qadar misl-e-qalam maiñ ne jabīñ-sā.ī kī
ban gayā ghis ke dar-e-yār kā patthar kāġhaz
yaar ne ḳhat meñ jo likkhā hai ki na aanā hargiz
ho gayā mere liye sadd-e-sikandar kāġhaz
saath naame ke ga.ī jaan bhī sū-e-jānāñ
ho gayā tā.ir-e-jāñ ke liye shahpar kāġhaz
nahīñ tohfa ḳhat-e-jānāñ ke barābar koī
hai mujhe qand-o-zaqan se kahīñ behtar kāġhaz
jā-e-jarrāh ki ab nāma-bar aa pahuñchā hai
badle phāhe ke rakhūñ dāġh-e-jigar par kāġhaz
kyā maiñ iflās meñ ḳhat yaar ko likkhūñ 'nāsiḳh'
na qalam hai na siyāhī na mayassar kāġhaz