Imam Bakhsh Nasikh

choT dil ko jo lage aah-e-rasa paida ho

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
choT dil ko jo lage āh-e-rasā paidā ho
sadma shīshe ko jo pahuñche to sadā paidā ho
kushta-e-teġh-e-judā.ī huuñ yaqīñ hai mujh ko
uzv se uzv qayāmat meñ judā paidā ho
ham haiñ bīmār-e-mohabbat ye duā māñgte haiñ
misl-e-iksīr na duniyā meñ davā paidā ho
kah rahā hai jaras-e-qalb ba-āvāz-e-buland
gum ho rahbar to abhī rāh-e-ḳhudā paidā ho
kis ko pahuñchā nahīñ ai jaan tirā faiz-e-qadam
sañg par kyuuñ na nishān-e-kaf-e-pā paidā ho
mil gayā ḳhaak meñ pis pis ke hasīnoñ par maiñ
qabr par bo.eñ koī chiiz hinā paidā ho
ashk tham jaa.eñ jo furqat meñ to aaheñ nikleñ
ḳhushk ho jaa.e jo paanī to havā paidā ho
yaañ kuchh asbāb ke ham bande hī muhtāj nahīñ
na zabāñ ho to kahāñ nām-e-ḳhudā paidā ho
gul tujhe dekh ke gulshan meñ kaheñ umr darāz
shāḳh ke badle vahīñ dast-e-duā paidā ho
bosa māñgā jo dahan kā to vo kyā kahne lage
tū bhī mānind-e-dahan ab kahīñ nā paidā ho
na sar-e-zulf milā balbe darāzī terī
rishta-tūl-e-amal kā bhī sirā paidā ho
kis tarah sach hai na ḳhurshed ko raj.at ho jaa.e
tujh sā āfāq meñ jab māh-laqā paidā ho
abhī ḳhurshed jo chhup jaa.e to zarrāt kahāñ
tū hī pinhāñ ho to phir kaun bhalā paidā ho
kyā mubārak hai mirā dast-e-junūñ ai 'nāsiḳh'
baiza-e-būm bhī TuuTe to humā paidā ho
Top Urdushayar.com