Imam Bakhsh Nasikh

sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
sau qissoñ se behtar hai kahānī mire dil kī
sun us ko tū ai jaan zabānī mire dil kī
har naale meñ yaañ TukḌe jigar hotā hai bulbul
āsān nahīñ tarz uḌānī mire dil kī
honī hai shahīd ek na ik roz tamannā
mauqūf ho kyā marsiya-ḳhvānī mire dil kī
piirī meñ bhī miltā hai jo kam-sin koī mahbūb
kartī hai vahīñ uud javānī mire dil kī
taqsīm kiye pāra-e-dil bazm-e-butāñ meñ
har ek ke hai paas nishānī mire dil kī
ik baat meñ ho jaa.e musaḳhḳhar vo parī-rū
suntā hī nahīñ sehr-bayānī mire dil kī
hai abr to kyā chāhe falak ko bhī jalā de
bijlī meñ kahāñ shola-fishānī mire dil kī
zulfoñ meñ kiyā qaid na abrū se kiyā qatl
tū ne to koī baat na maanī mire dil kī
ye bār-e-ġham-e-ishq samāyā hai ki 'nāsiḳh'
hai koh se dah-chand girānī mire dil kī
Top Urdushayar.com