hue rone se mire dīda-e-bedār safed
balki ashkoñ ne kiyā rañg-e-shab-e-tār safed
āñkheñ ḳhush-chashmoñ kī tujh par huiiñ ai yaar safed
jis tarah zo.af se ho chehra-e-bīmār safed
ho gayā zo.af se merā badan-e-zār safed
nazar aatā hai sanam sūrat-e-zunnār safed
hai faqat ālam-e-bālā se madad mastoñ kī
kaun juz maah kare ḳhāna-e-ḳhummār safed
gul-ezāroñ kī jo mahfil meñ gayā vo gul-e-tar
ho ga.e zard jo do-chār to do-chār safed
tū vo yūsuf hai ki ab muntazarī meñ ai jaan
misl-e-yāqūb huī chashm-e-ḳharīdār safed
dūd-e-dāġh-e-sar-e-saudā-zada kartā hai siyāh
ai junūñ ham kabhī rakhte haiñ jo dastār safed
raushan ai maah kiyā tū ne siyah-ḳhāna mirā
tere jalve se hue haiñ dar-o-dīvār safed
vaah kyā rañg-e-hinā hai ki tirī chuTkī se
surḳh ho jaa.e agar ho lab-e-sofār safed
shāyad un ko nahīñ andar kī siyāhī kī ḳhabar
kar rahe haiñ jo mirī qabr ko me.amār safed
uḌ gayā rañg-e-shaqā.iq tire aage jis dam
log samjhe ki huā barf se kohsār safed
nuqra.ī puThThe kā Daalā nahīñ tū ne mūbāf
hai siyah saarā badan aur dum-e-mār safed
vasf likkhe jo tire gore badan ke maiñ ne
ho ga.ī zāġh-e-qalam kī vahīñ minqār safed
sham-e-kāfūr se tashbīh bhalā duuñ kyuuñ kar
hai ba-rañg-e-mah-e-tābāñ badan-e-yār safed
ba.ad ik umr ke 'nāsiḳh' kī jo ab aamad hai
lucknow ke hue sab kūcha-o-bāzār safed