Imam Bakhsh Nasikh

yaron ki humse dil-shikani ho sake kahan

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
yāroñ kī ham se dil-shikanī ho sake kahāñ
yaañ paas hai na ḳhātir-e-aġhyār toḌiye
ham jaur-e-chashm-e-yār se dam mārte nahīñ
ya.anī ravā hai kab dil-e-bīmār toḌiye
yaañ dard-e-sar ḳhumār se hai vaañ dukān band
Takrā ke sar ko ab dar-e-ḳhummār toḌiye
Takrā.ūñ vaañ jo sar to vo kahtā hai kyā mujhe
sāhab na mujh ġharīb kī dīvār toḌiye
dam toḌnā hai furqat-e-jānāñ meñ apnā kaam
kuchh kohkan nahīñ haiñ jo kohsār toḌiye
'nāsiḳh' ba-qaul-e-afsah-e-hindostāñ kabhī
zāhid kā dil na ḳhāna-e-ḳhummār toḌiye
Top Urdushayar.com