go ye ġham hai ki vo habīb nahīñ
par ḳhushī hai koī raqīb nahīñ
kyuuñ na hoñ tifl-e-ashk āvāra
ki moallim nahīñ adiib nahīñ
kal tasavvur meñ aa.ī jo shab-e-gor
shab-e-furqat se vo muhīb nahīñ
haiñ savārī ke saath fariyādī
koī aur aap kā naqīb nahīñ
muddatoñ se huuñ jāntā huuñ vatan
dasht-e-ġhurbat meñ maiñ ġharīb nahīñ
tujh se ai dil ḳhudā to hai aqrab
ġham nahīñ but agar qarīb nahīñ
jaan kyuuñ kar bachegī furqat meñ
haiñ adū saikḌoñ habīb nahīñ
zindagānī maraz hai maut shifā
juz ajal koī ab tabīb nahīñ
jiite jī pā.ūñ dost kā dīdār
'nāsiḳh' aise mire nasīb nahīñ