yādgār-e-zamāna haiñ ham log
sun rakho tum fasāna haiñ ham log
ḳhalq se ho ga.e haiñ begāne
shāyad us ke yagāna haiñ ham log
kyuuñ na har gul pe hoveñ zamzama-sanj
bulbul-e-ḳhush-tarāna haiñ ham log
sab ke maḳhdūm haiñ vale tere
ḳhādim-e-āstāna haiñ ham log
tīr-e-mizhgāñ hai kyā balā jis ke
jān-o-dil se nishāna haiñ ham log
yaar aage nikal ga.e haiñ ka.ī
pīchhe un ke ravāna haiñ ham log
apne jī meñ samajh tū zulf-e-darāz
qābil-e-tāziyāna haiñ ham log
'muntazir' shakl-e-bulbul-e-vahshī
Dushman-e-āshiyana haiñ ham log