vo rū-e-kitābī to hai qur.ān hamārā
kahte haiñ jise ishq hai īmān hamārā
hāthoñ kī shikāyat hai hameñ dasht-e-junūñ meñ
paañv meñ ulajhtā hai garebān hamārā
har sub.h dikhātā hai hameñ jalva parī kā
bālā-e-havā-dār sulaimān hamārā
haiñ mardum-e-ġham-dīda ke dāñtoñ kī tarah band
misl-e-dahan-e-nañg hai zindān hamārā
ham ḳhāna-ḳharāboñ se mile kyā koī aa kar
darvāza-e-uftāda hai darbān hamārā
rahtā hai hameñ dhyān tumhārā hī hamesha
tum ko nahīñ aatā hai kabhī dhyān hamārā
aa jaa.e abhī jaan meñ jaan aao agar tum
tan hijr meñ be-jān hai ai jaan hamārā
be-khaTke tavahhush meñ na kyuuñ dauḌte phiriye
pahlū meñ hai be-ḳhār bayābān hamārā
lī jaan ḳhudā ne kisī but ne na kiyā qatl
niklā na dam-e-marg bhī armān hamārā
lī ham ne balā apne hī sar sab ko bachāyā
ai jaan hai aġhyār pe ehsān hamārā
har bait meñ ik shāhid-e-ma.anī kī hai tasvīr
'nāsiḳh' hai muraqqa.a nahīñ dīvān hamārā