Imam Bakhsh Nasikh

jab se ki buton se aashna hun

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
jab se ki butoñ se āshnā huuñ
begāna ḳhudā.ī se huā huuñ
kyuuñ kar kahūñ ārif-e-ḳhudā huuñ
āgāh nahīñ ki aap kyā huuñ
jab hijr meñ baaġh ko gayā huuñ
maiñ ātish-e-gul meñ jal-bujhā huuñ
furqat meñ jo sar paTak rahā huuñ
mashġhūl-e-namāz-e-kibriyā huuñ
muñh zard hai tinke chun rahā huuñ
ai vahshat kyā maiñ kahrubā huuñ
begāna huuñ kyuuñ kar āshnā se
begānoñ se maiñ bhī āshnā huuñ
muñh un kā nahīñ hai shukr varna
har but kahtā ki maiñ ḳhudā huuñ
ummīd-e-visāl ab kahāñ hai
us gul se ba-rañg-e-bū judā huuñ
kyuuñ dost na ḳhush hoñ jaa.e mātam
sīmāb kī tarah mar gayā huuñ
ḳhilqat ḳhush ho jo maiñ huuñ pāmāl
gulzār-e-jahāñ meñ kyā hinā huuñ
hañs dūñgā dam meñ misl-e-gul aap
ġhunche kī tarah se go ḳhafā huuñ
ātish-qadamī se jalte haiñ ḳhaar
ai qais maiñ vo barhana-pā huuñ
karte haiñ gurez mujh se manhūs
be-shubah maiñ sāya-e-humā huuñ
huuñ qāfila-e-adam se aage
is raah meñ nāla-e-darā huuñ
'nāsiḳh' kī ye iltijā hai yārab
mar jā.ūñ to ḳhāk-e-karbalā huuñ
Top Urdushayar.com