Imam Bakhsh Nasikh

sab ki sab kya hain shab-e-qadr hamari raaten

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
sab kī sab kyā haiñ shab-e-qadr hamārī rāteñ
kaTtī haiñ āñkhoñ hī meñ hijr kī saarī rāteñ
haa.e kyā pyaar se sote the lipaT kar ai jaan
yaad har dam mujhe aatī haiñ vo pyārī rāteñ
donoñ zulfoñ meñ haiñ ḳhurshed se tābāñ aariz
roz-e-raushan ke barābar haiñ tumhārī rāteñ
jo ghaḌī hai nazar aatī hai mujhe ek pahāḌ
haiñ ġhazab furqat-e-mahbūb kī bhārī rāteñ
hijr meñ sub.h se tā-shām bajā.e shabnam
merī āñkhoñ se lahū rakhtī haiñ jaarī rāteñ
sun paḌe rahte haiñ be-yār añdhere meñ ham
haiñ shab-e-gor ke mānind hamārī rāteñ
shab-e-tārīk judā.ī meñ ye chillātā huuñ
diq bahut kartī haiñ yā-hazrat-e-bārī rāteñ
terī zulfoñ ke liye shāna-ba-kaf hai har din
aur kartī haiñ tirī ā.īna-dārī rāteñ
fasl-e-gul meñ vo gul-e-tar nahīñ gul kar de charāġh
ki siyah chāhiyeñ ai bād-e-bahārī rāteñ
murġh-e-zarrīn-e-falak par hai yaqīn-e-ḳhuffāsh
kis qadar mere dinoñ meñ huiiñ saarī rāteñ
din ke badle bhī yahī aatī haiñ ġham-ḳhvārī ko
mujh se rakhtī haiñ bahut hijr meñ yaarī rāteñ
din to 'nāsiḳh' ke ba-har-hāl guzar jaate haiñ
par judā.ī meñ bahut laatī haiñ ḳhvārī bāteñ
Top Urdushayar.com