Imam Bakhsh Nasikh

yun mujhe aap se ab karti hai taqdir juda

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
yuuñ mujhe aap se ab kartī hai taqdīr judā
jis tarah jañg meñ ho qabze se shamshīr judā
mas ke zar hone se behtar hai kamāl-e-insāñ
ḳhāksārī hai judā aur hai iksīr judā
jā-e-dandāñ lab-e-sofār hue ai qātil
dahan-e-zaḳhm se hogā na tirā tiir judā
maraz-e-ishq meñ piiTh apnī ye bistar se lagī
na kabhī saf.ha se jis shakl ho tasvīr judā
ai junūñ paañv haiñ jab tak ye tamannā hai mujhe
kabhī mānind ragoñ ke na ho zanjīr judā
chhoḌūñ kyā piirī meñ shīrīñ-dahanoñ kī sohbat
nahīñ mumkin ki hoñ mil kar shakar-o-shīr judā
kahte haiñ dekh ke zulf us ke ruḳh-e-tābāñ par
kabhī hotā nahīñ us sham.a se gul-gīr judā
jab judā.ī ke mazāmīn mujhe sūjhe haiñ
harf se harf huā hai dam-e-tahrīr judā
kyuuñ na ho jalva-e-ḳhurshed se saa.e kā vajūd
kyā tire chehre se ho zulf-e-girah-gīr judā
mujh giraftār-e-judā.ī ke jo paañv meñ paḌī
ho junūñ halqe se har halqa-e-zanjīr judā
maiñ ne jo dard-e-judā.ī se kiye haiñ naale
kījiye tan se mirā sar pa-e-ta.azīr judā
teġh-e-āhan se sivā hai burish-e-teġh-e-zabāñ
haq ko bātil se karegī tirī taqrīr judā
āshnā muttahid is darja kahāñ hote haiñ
aap dil-gīr hai 'nāsiḳh' jo hai dil-gīr judā
Top Urdushayar.com