lete lete karvaTeñ tujh bin jo ghabrātā huuñ maiñ
naam le le kar tirā rātoñ ko chillātā huuñ maiñ
ġhair jab kahtā hai us par maiñ bhī martā huuñ tab aah
vo to kyā martā hai bas ġhairat se mar jaatā huuñ maiñ
aa nikaltā hai kabhī par baat vo kartā nahīñ
boltā hai to ye kahtā hai ki ab jaatā huuñ maiñ
tū vo hai ātish kā parkāla ki tere sāmne
āftāb aa kar kahe jaaḌe se tharrātā huuñ maiñ
nā-tavānī ne nikal jaane kā Dar to kho diyā
yaar ko ab apne mar jaane se dhamkātā huuñ maiñ
gar chaleñ rāh-e-talab meñ toḌ Dālūñ apne paañv
bas kabhī saaqī ke aage haath phailātā huuñ maiñ
abr ko dekhā jo saaqī ne nigāh-e-mast se
ra.ad bolā ab mai-e-gul-rañg barsātā huuñ maiñ
dauḌte haiñ paañv jab dāmān-e-sahrā kī taraf
haath bhī sū-e-garebāñ saath dauḌātā huuñ maiñ