Imam Bakhsh Nasikh

sab hamare liye zanjir liye phirte hain

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
sab hamāre liye zanjīr liye phirte haiñ
ham sar-e-zulf-e-girah-gīr liye phirte haiñ
kaun thā said-e-vafādār ki ab tak sayyād
bāl-o-par us ke tire tiir liye phirte haiñ
tū jo aa.e to shab-e-tār nahīñ yaañ har sū
mish.aleñ nāla-e-shab-gīr liye phirte haiñ
terī sūrat se kisī kī nahīñ miltī sūrat
ham jahāñ meñ tirī tasvīr liye phirte haiñ
mo.atakif garche ba-zāhir huuñ tasavvur meñ magar
kū-ba-kū saath ye be-pīr liye phirte haiñ
rañg-e-ḳhūbān-e-jahāñ dekhte hī zard kiyā
aap zor āñkhoñ meñ iksīr liye phirte haiñ
jo hai martā hai bhalā kis ko adāvat hogī
aap kyuuñ haath meñ shamshīr liye phirte haiñ
sar-kashī sham.a kī lagtī nahīñ gar un ko burī
log kyuuñ bazm meñ gul-gīr liye phirte haiñ
tā gunahgārī meñ ham ko koī mat.ūñ na kare
haath meñ nāma-e-taqdīr liye phirte haiñ
qasr-e-tan ko yuuñ hī banvā ye bagūle 'nāsiḳh'
ḳhuub hī naqsha-e-tāmīr liye phirte haiñ
Top Urdushayar.com