Imam Bakhsh Nasikh

karti hai mujhe qatl mere yar ki raftar

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
kartī hai mujhe qatl mire yaar kī raftār
talvār kī talvār hai raftār kī raftār
kaj aisī na thī aage mire yaar kī raftār
sīkhā hai magar charḳh-e-sitam-gār kī raftār
sar girte haiñ kaT kaT ke vo rakhtā hai jahāñ paañv
sīkhī hai magar yaar ne talvār kī raftār
gardish hai tirī nargis-e-bīmār ko din-rāt
dekhī nahīñ aisī kisī bīmār kī raftār
Taltī nahīñ zulfoñ ke tasavvur kī tarah se
hai turfa judā.ī kī shab-e-tār kī raftār
laġhzish na ho kyuuñ kar rah-e-dīñ meñ mujhe zāhid
yaad aa ga.ī us kāfir-e-mai-ḳhvār kī raftār
zālim tire kūche se qadam uTh nahīñ saktā
kyuuñ kar na chalūñ sāya-e-dīvār kī raftār
kyā maar ko nisbat tire gesū ke chalan se
hai sāya-e-gesū meñ sanam maar kī raftār
motī evaz-e-naqsh-e-qadam girte haiñ 'nāsiḳh'
aisī hai mirī kilk-e-guhar-bār kī raftār
Top Urdushayar.com