sanam kūcha tirā hai aur maiñ huuñ
ye zindān-e-daġhā hai aur maiñ huuñ
yahī kahtā hai jalva mere but kā
ki ik zāt-e-ḳhudā hai aur maiñ huuñ
idhar aane meñ hai kis se tujhe sharm
faqat ik ġham tirā hai aur maiñ huuñ
kare jo har qadam par ek naala
zamāne meñ dirā hai aur maiñ huuñ
tirī dīvār se aatī hai āvāz
ki ik bāl-e-humā hai aur maiñ huuñ
na ho kuchh aarzū mujh ko ḳhudāyā
yahī har dam duā hai aur maiñ huuñ
kiyā darbāñ ne sañg-e-āstāna
dar-e-daulat-sarā hai aur maiñ huuñ
gayā vo chhoḌ kar raste meñ mujh ko
ab us kā naqsh-e-pā hai aur maiñ huuñ
zamāne ke sitam se roz 'nāsiḳh'
na.ī ik karbalā hai aur maiñ huuñ