dil meñ poshīda tap-e-ishq-e-butāñ rakhte haiñ
aag ham sañg kī mānind nihāñ rakhte haiñ
tāzgī hai suḳhan-e-kuhna meñ ye bād-e-vafāt
log aksar mire jiine kā gumāñ rakhte haiñ
bhā ga.ī kaun sī vo baat butoñ kī varna
na kamar rakhte haiñ kāfir na dahāñ rakhte haiñ
misl-e-parvāna nahīñ kuchh zar-o-māl apne paas
ham faqat tum pe fidā karne ko jaañ rakhte haiñ
mahfil-e-yār meñ kuchh baat na niklī muñh se
kahne ko sham.a kī mānind zabāñ rakhte haiñ
ho gayā zard paḌī jis kī hasīnoñ pe nazar
ye ajab gul haiñ ki tāsīr-e-ḳhizāñ rakhte haiñ
evaz-e-mulk-e-jahāñ mulk-e-suḳhan hai 'nāsiḳh'
go nahīñ hukm-e-ravāñ tab.a-e-ravāñ rakhte haiñ