Imam Bakhsh Nasikh

raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
rāt-bhar jo sāmne āñkhoñ ke vo mah-pāra thā
ġhairat-e-mahtāb apnā dāman-e-nazzāra thā
ban ga.e girdāb sail-e-ashk jaa.e gard-bād
abr-e-tar kī tarah maiñ jis dasht meñ āvāra thā
tū ne āñkheñ pher liiñ yaañ kaam āḳhir ho gayā
tā.ir-e-jāñ pā-e-band-e-rishta-e-nazzāra thā
shab tire partav se labrez-e-latāfat thā chaman
har gul-e-shabbū se jaarī nuur kā favvāra thā
mujh ko dam lene kī bhī fursat na duniyā meñ milī
roz-e-maulid shādiyāna kuuch kā naqqārā thā
ḳhurramī hotī hai bedardoñ ko sair-e-bāġh meñ
ham ne jis gul par nazar kī ik gul-e-sad-pāra thā
ḳhvāb meñ bhī yaar tak mumkin na thā daḳhl-e-raqīb
jin dinoñ apnā ḳhayāl aḳhbār kā harkāra thā
shab nazar kī maiñ ne furqat meñ jo sū-e-asmāñ
azhdahā thī kahkashāñ aqrab har ik sayyāra thā
ai ajal dī tū ne bār-e-jism se aa kar najāt
kab se merī piiTh par ye ḳhaak kā pushtāra thā
ḳhauf sab jaatā rahā dil se azāb-e-hijr kā
naqd-e-jāñ denā gunāh-e-ishq kā kaffāra thā
kahte haiñ maarā gayā vo jurm-e-teġh-e-nāz se
kūcha-e-qātil meñ 'nāsiḳh' naam jo bechāra gayā
Top Urdushayar.com