Imam Bakhsh Nasikh

apne abru aaine mein dekh kar bismil hua

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838

apne abrū aa.ine meñ dekh kar bismil huā

khīñch kar talvār apnā aap vo qātil huā

bhaag kar kab tujh se jāñ-bar koī ai qātil huā

uḌ chalā gar hosh apnā tā.ir-e-bismil huā

ab kahāñ naale ki us lailā maskan dil huā

thā jaras jo pesh-e-azīñ vo in dinoñ mahmil huā

nām-e-nek ahal-e-hukūmat ko kahāñ hāsil huā

ḳhalq meñ mash.hūr ik nau-shervāñ aadil huā

sar se tak har sanobar faqat kyā dil huā

dekh kar us sarv-qad ko sarv bhī maa.il huā

is adā se baaḌh dekhī aap ne talvār

tā.ir-e-rañg-e-hinā bhī tā.ir-e-bismil huā

dhyān us ke band karne agar aatā tujhe

kyuuñ na terā raḳhna-e-dar merā chāk-e-dil huā

hai ye ġham jāñ-kāh ḳhāl-e-abrū-e-ḳhamdār

ka.abe meñ kāhīda ho kar sañg-e-asvad dil huā

jo yahāñ maġhlūb hai uqbā meñ ġhālib hai vahī

markab-e-maqtūl hai ik roz jo qātil huā

dho.e haiñ dhobī ne dariyā meñ jo kapḌe yaar ke

aaj kosoñ tak mo.attar dāman-e-sāhil huā

dilbarī jab huā us sarv-qāmat ko ḳhayāl

uzv uzv apnā vahīñ misl-e-sanobar dil huā

sab ke ḳhāliq ne banā.e kāsa-e-sar vāzhgūñ

aadmī is par bhī pesh-e-ādmī saa.il huā

bujh gayā merā charāġh-e-dāġh vasl-e-yār meñ

nūr-e-mah nazdīkī-e-ḳhurshed se zaa.il huā

jo parī-rū baiThtā hai aa ke uTh saktā nahīñ

ab to naqsh-e-boriyā ḳhuub maiñ aamil huā

jazb-e-jinsiyyat baham rahne nahīñ detā firāq

kal banā jo jism-e-ḳhākī aaj gil-dar-gil huā

haa.e kis qātil-adā se shurūa us ne namāz

niklī jab takbīr us ke muñh se maiñ bismil huā

kahte haiñ zāhid mirī dīvāngī ko dekh kar

but-parastī ke sabab qahr-e-ḳhudā nāzil huā

jab tasavvur yaar bāñdhā ham aap aa.e nazar

sāmne āñkhoñ ke ā.īna hamārā dil huā

āshiq-e-be-nañg se hotā hai māshūqoñ ko nañg

pairahan majnūñ phaT kar parda-e-mahmil huā

sāmne mere rahā gar shaam se le tā-sahar

husn meñ gar misl-e-māh-e-chārdah kāmil huā

rūh-e-'nāsiḳh' hai usī rūh-e-aqdas par nisār

bārhā jis ke liye rūhul-qudus nāzil huā

Top Urdushayar.com