Imam Bakhsh Nasikh

mujhko ab saqi-e-gulfam se kuchh kaam nahin

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
mujh ko ab sāqī-e-gulfām se kuchh kaam nahīñ
mai se kuchh kaam nahīñ jaam se kuchh kaam nahīñ
dil meñ ḳhush aa.ī haiñ sahrā kī babūleñ pur-ḳhār
ab kisī sarv-e-gul-andām se kuchh kaam nahīñ
apne ārām se huuñ dasht-e-junūñ meñ tanhā
kisī mahbūb-e-dil-ārām se kuchh kaam nahīñ
ḳhāna-barbād huuñ sahrā meñ bagūloñ kī tarah
saqf-o-dīvār-o-dar-o-bām se kuchh kaam nahīñ
tā.ir-e-rūh-e-ramīda kī tarah chhūTā huuñ
ab to sayyād tire daam se kuchh kaam nahīñ
tab-e-raushan ko nahīñ ḳhauf siyah-rozī kā
sub.h-e-mahshar huuñ mujhe shaam se kuchh kaam nahīñ
itnī muddat se huuñ ġhurbat meñ vatan bhuul gayā
mujh ko ab nāma-o-paiġhām se kuchh kaam nahīñ
hai firāq-e-but-e-ḳhud-kām meñ 'nāsiḳh' kā kalām
huuñ maiñ nākām mujhe kaam se kuchh kaam nahīñ
Top Urdushayar.com